Umer cheema has no questions about sharif family s properties though.[/QUOT
ITTEFAQ FOUNDRY DAYKHI HAY KABHI.?jehan road roolar jaysee heavy machinery Bhutto k siasat main aanay say bhee pehlay bante thee. jis ke deewar k sath train ko guzartay bhee waqat lagta thha. jis aik factory say hazaron loog rozi kamatay thhay. ye us waqat ke bat hy jab ham bachay thhay .mehnat say kamaay hoay es sarmaay ko bhutto ny jab chhen leya tu ye loog siasat main nahe thhay. magar ham ny daykha inhon ny tinka tinka akhtha karkay dobara jalti raakh say sar nikala.allah ny phir sarkhru kia. wo zaheen mehnat kash loog hain. na tu angraiz k kasa lais thhay aur na he bheek mangnay walay. un k har kam main deyanat aur mehnat thhe. allah un k sath thha. unhon nay siasat shuru ki tu usse deyanat aur emandari say ke. pehlay wazir khazana aur phir wazir a aala ke haseat say un ka kam mesali thha. siasat main hony ke waja say un ky karobar ko bar bar nuqsan pohnchaya gaya. magar bar bar wo gir kar uthtay rahay,siasat main reh kar un ke kamaee hoee dolat us honay wale kamaae ka ashar asheer bhee nahi jo wo siasat main na aanay say kama saktay thhay. aaj bhee kamyab sanatkar kamyab hakmon say kaheen zayada maldar hay. sanat main paisa banana un k leay koi dishwar nahe thha. magar hamaray badqasmat mulk k leay aur greeb awam k leay unhon ny apna din rat ibadat samajh kar is qoum k leay waqaf kar dia. aaj karobar un k bachay kar rahay hain. aor wo mulk ke qismat badalnay k leay cho mukhi laraee lar rahay hain. ghhag siasat dan un k khelaf hain. amrica un k khelaf hy,najaiz andaz main mulk par qabiz hony walay un k khelaf hain. aur guddi lut group lamby dhangay lay kar un k pechay hay. un ke kirdar kushe k leay paid IT mahreen aur zameer farosh nam nahad media person din rat stories bana rahay hain. magar wo mard a maydan sache lagan say apny kam main juta huva hy. aur sabat kia hy kay
shaheen kabhi parwaz say thhak kar nahi girta.
neaton ka haal allah behtar janta hy. magar main samjta hon es waqat us say zayada mukhlas es mulk aur qoum main aur koi nahe. main kehta hon.
MIAN SAHAB DATTAY RAHO, ALLAH TUMHARAY SATH HY.