Zul Hijjah Moon Sighted In Saudi Arabia, Eidul Azha On August 11

Siasi Jasoos

Chief Minister (5k+ posts)
moon1-604x270.jpg


ISLAMABAD (92 News) – Zul Hijjah moon was sighted in Saudi Arabia on Thursday and Eidul Azha will be celebrated on August 11.

Accordingly, the Day of Arafat, which is the day of Haj that falls a day before Eid Eidul Azha will be on August 10, Saturday.

To sight the moon in Pakistan, a meeting of the Ruet-e-Hilal Committee will be held in Karachi on Friday. Ruet-e-Hilal Committee Chairman Mufti Muneebur Rehman will preside over the meeting.

However, the meetings of Zonal Ruet-e-Hilal Committees will be held in different cities.

The Ministry of Science and Technology has already issued a calendar, announcing Eidul Azha on August 12. The federal government has already announced holidays on Eidul Azha from August 12 to 15. A notification in this regard has already been issued.


https://92newshd.tv/zul-hijjah-moon-sighted-in-saudi-arabia-eidul-azha-on-august-11
 

naveed

Chief Minister (5k+ posts)
Moon-Saudi.jpg


ریاض: سعودی عرب میں ذوالحج کا چاند نظر آگیا ہے، عید الاضحیٰ 11 اگست بروز اتوار کو منائی جائے گی۔


سعودی عرب میں ذوالحج کا چاند نظر آگیا ہے، سعودی سپریم کورٹ کے اعلان کے مطابق ذوالحج کا آغاز کل بروز جمعہ سے ہوگا جبکہ حج کا اہم رکن وقوف عرفات 10 اگست بروز ہفتے کو ہوگا اور مملکت میں عید الاضحی 11 اگست بروز اتوارکو منائی جائے گی۔

 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
jab tak quran ke saath musalmaanoo ka tamaasha jaari rahe ga in ki haalat bad se badtar hoti rahe gi.

barkat us kaam main hoti hai jo durst ho apne maqsad ke etbaar se aur us ko drust tareeeqe se kiya jaaye.

saiye laa haasil main hissa lena to waqt barbaad karne ki baat hai aur apne aap ko barbaad karne ki.

deene islam zindagi ko drust tareeqe se guzaarne ka naam hai pooja paat ka nahin. ye drust tareeqa sirf aur sirf khudaa hi bataa sakta tha insaanu ko aur us ne apni sab kitaabun main logoon ko bataaya bhi apne rasooloon ke zariye magar log us ki kitaaboon se phir ge.

log khudaa ki kitaaboon se kaise phire? yun keh jab un ko babarkat zindagi haasil ho gayee kitaaboon ke mutaabiq mehnat karne se to woh kitaaboon hi ko bhool ge yani un ko saheeh tarah samajh ker padhne se door ho ge aur ahista ahista deene islam se door hote gaye yahaan tak keh un ko maloom hi na rahaa un ko woh zindagi kaise mili thi.

aaj ke kitaab waale bhi ussi haalat ki pedawaar hen. lihaaza jab tak musalmaanoo ki ye haalat rahe gi yani woh kitaab ko theek tarah se nahin samjhen ge issi tarah barbaad rahen ge. lihaaza agar musalmaan is duniya main izzat waali baabarkat zindagi chahte hen to un ko kitaab ka asal paighaam talaash karna chahiye kitaab hi main se.

aaj sab se ziyaada kaamyaabtareen nizaam jo duniya main mojood hai woh sarmayadari nizaam hai. is nizaam se duniya main insaanu ke liye chaino qaraar mumkin hi nahin hai chahe log jo marzi hai ker len.

ye nizaam khudaa aur rasool se jang ke nazriye per mabni hai. kyun? is liye keh khudaa nahin chahta log us tareeqe se apni zindagiyan guzaaren jin ki wajah se un main aapas main kheencha taani jaari rahe. issi liye us ne un ko ummat ban ker zinda rehne ka tareeqa diya jisse insaan abhi tak munharif hen. sab log ahista ahista ussi nizaam ki taraf aayen ge magar aik doosre se bahot se piyaaz aur joote khaane ke baad.

issi nizaam ka qayaam hi qayaamate sughra kehlaata hai. yani is duniya main jannati nizaam ka qayaam aik chhoti mudad ke liye aik chhote pemaane per. jis ke baad aakhirat main yahee nizaam bade pemaane per qayaam pazeer ho ga.

issi nizaam ka saheeh tareeqe se qayaam is duniya main eid kehlaata hai. is liye keh is nizaam ka qayaam hi insaanu ko behtareen maashra deta hai jisse ummat ke her fard ki zindagi khushyun se bhar jaati hai. achhe maashre main achhi zindagi ka her din khushi ka din hota hai. jis din aisa maashra qaaim ho jaata hai us din ko aik khasusiyat haasil hoti hai.

deene islam yun to her rasool ne qaaim kiya is duniya main magar bahot se rasooloon ne ye nizaam bahot hi chhote pemaane pe qaaim kiya magar baaz rasooloon ne is ko bade pemaane per bhi qaaim kiya. jaise keh aadam, nooh, ibraheem waghera ne. in sab se ziyaada bade pemaane per ye nizaam khudaa ke aakhiri paighambar ne qaaim kiya jo un ki wafaat ke kuchh hi arse baad logoon ki ghalatiyun ki wajah se is duniya se khatam ho gayaa.

albatta ab ye nizaam issi duniya main phir se qaaim ho ga magar universal pemaane per. ye nizaam us waqt qaaim ho ga jab log us ilmi satah per pohnch jaayen ge jis per pohnch ker un ko quraan ka paighaam saheeh tarah se samajh main aaye ga.

musalmaanoo ki haalat yani quraan ke saheeh ilm se un ki naawaaqfiyat dekh ker yahee maloom hota hai abhi woh waqt nahin aa rahaa. albatta duniya ki ilmi lihaaz se badalti haalat ko dekh ker yahee maloom hota hai woh din aaye ga zaroor. is liye keh insaan her mojood nizaam ke khilaaf ehtjaaj karte aaye hen jis ne un main se bahot se logoon ka jeena haraam kiya hai. yahee maamla mojooda nizaam ka hai.

ye ehtjaaj jaari rahe ga jab tak woh nizaam qaaim nahin ho jaata jis main sab insaanu ki bhalayee hai yani deene islam jo ab sirf aur sirf quraan hi main milta hai logoon ki zindagiyun main nahin. albatta musalmaanu ne quraan ko poori tarah chhora nahin hai aur shaid aik din woh quraan ki taraf poori tarah laut aayen ge.

 
Last edited: