Bas Pakistanion ko dara dara ke hi maar diya hai "leaderon" ne aur Pakistanion jese darpook laug shaid he dunya main hoon ge.
Bara assan he waise darana....itna hi kehna hota he "maar dain ge woh" aur tangain kanpnay lagti hain hamari.
Aur aap jaise darbari kafi kaam aatay hain in logoon ke...kabhi yeh bhi poocha he apnay "nijat dhahinda" se ke bhai saab aap humain sirf do rstay kyun daite hain......1. Lar lo hero ban jao aur 2. sajday main gir jao aur qadam chomo. Koi darmian ka raasta kyun nahi follow kerta. Larnay aur sajday kernay ki ilawa bhi aik tareeka hota he, jise negotiations aur diplomacy kehtay hain. Yeh raasta kyun nahi batatay humain. Turkey ne NATO main hone ke bawajood inkaar kar diya tha.....aap ke mutabiq toh aaj turki naam ka mulk sirf kitaboon main hoona chahiye tha....
Agar hum main itni aqal hoti ke yeh pooch sakain in se to aaj jaga jaga maath na ragarn parta.
tum naa durroe, kuch bravery dikhaoe naa, come out of ur comfort zone, its all talk BS(bigsmile)