Aaj Kal mulk mein buhat zordar discussion is bat per ho raha hai ke Panjabi Talibanaistaion hai ya nahin, Hakoomat e Panjab ko Talibanaization se zada is istlah ke naam per aitraz hai ke is ko panjabi talibanization na kaho, or Fedral Goverment ka israr hai ke Panjabi Talib mojod hain or woh unka Halqa e Asar Janoobi Panjab ko batatay hain, actually Talibanization ek Soch hai or yeh haqeqat hai ke is soch mein Pakistan mein mojod her qaum or Zaban bolnay walay log dheeray dheeray shamil ho rahay hain, jis mein Pashtun zaban bolnay walon ke illawa , Panjabi, Sindhi, Baloch, Saraiki Brahawai or Urdu bolnay walay bhi kaseer tadad mein shamil hain, ab sawal yeh peda hota hai ke inko panjabi taliban ka name kiyon deeya jata hai, iska simple reason hai her gher pashtun talib ko Panjabi samjha jata hai ab Wallah Aalam is ki kia waja hai, or gher pashtunoon ko Panjabi taliban ke name se hi pukara jata hai, jaisay ke Hamid mir ki recorded tape ko bhi suna jaye to us mein dosra fareeq (woh koi bhi ho) yehi istalah istemal kar raha hai.
Ab Sawal yeh peda hota hai ke is gher zarori behas ko chor kar ke panjabi gher panjabi ya pashtun ya balochi taqseem ko qata e nazar rakhtay huay is ka sade bab socha jaye yeh doonon parties is behas main uljhi hui hein, or yeh sirf is waja se hai ke doonon parties ke pass is barhati hui inteha pasandi ke hal ka koi mansooba nahin hai, inke pass jo log leaders ke name per mojod hain unka agenda is maslay ka hal nahin unka agenda zaati problems ko solve karna hai.