میرے خیال میں میری طرف سے بس اتنا کافی ہے
مجھے آپ کے طریقے کار کا کچھ کچھ اندازہ ہے لیکن اگر آپ مختصر یہاں خلاصہ لکھ دیں تو بہتر ہو گا
azeezam there is only sb, thank you for replying.
meri samajh ke mutaabiq koi shakhs bhi kuchh bhi theek tarah se nahin jaan sakta jab tak keh us ko kisi shai ka ilm haasil kerne ke lawaazmaat haasil na hun. her baat theek tarah se samajh main aane ke liye maqsad ka taqaaza kerti hai. jis baat ya shai ka koi maqsad hi na ho us ko samjha hi nahin jaa sakta.
us ki misaal main kuchh is tarah se dun ga keh agar aik shakhs kisi shai ka ilm haasil kerna chahta hai to us ke liye laazim hai keh woh us ke liye darkaar tamaam lawaazmaat rakhta ho. yani agar kisi shai ko dekh ker us ka ilm haasil hota hai to phir laazmi hai keh aise shakhs ke paas aankhen hun jin se woh dekh sake. magar sirf aankhen insaan ko ilm nahin de saktin keh aankhen andhere main nahin dekh saktin. lihaaza aankhun ke saath saath roshni ka hona bhi laazmi thehrta hai.
ab agar insaan ke paas aankhen hen aur roshni bhi hai magar jo woh dekhna chahta hai wohee mojood nahin hai to phir aankhen aur roshni kis kaam ki? lihaaza aankhen, roshni, aur dekhne waali shai sab hi aapas main laazimo malzoom hen.
in sab ke hote huwe bhi insaan ilm haasil nahin ker sakta agar us ke paas cheezun ke samajhne ki salahiyat hi na ho yani aqal hi na ho.
ab in chaar baatun ke bawjood insaan baat ko nahin samajh sakta jab tak in sab ka koi context ya sayaaqo sabaaq hi na ho. ye sab mil ker ab 5 baaten ho gayeen.
ab sawaal peda hota hai keh in sab baatun ka drust context ya sayaaqo sabaaq kahaan se mile ga?
ye context mazkoora cheezun ke asal yani drust maqsad se mile ga. ab phir sawaal peda hota hai ye maqsad kahaan se mile ga?
ye maqsad saheeh tor per sirf aur sirf ussi se mile ga jis ne ye sab cheezen apne plan ke mutaabiq banayee ya design ki hen apne maqsad ko poora kerne ke liye.
meri samajh ke mutaabiq is baat ka jaanana her shakh ke liye laazmi hai taa keh woh aane waali mazeed explanation to theek tarah se samajh sake.
kia aap meri in baatun se itifaaq ker sakte hen ya aap ko ye baaten ghalat maloom hoti hen.
aik baat aur, aur woh ye keh aap bhi aisa hi andaaz apnaayen apni baatun ko doosrun ko samajhaane ke liye. doosrun per sawaalun ki bochhaar kerne se maamla ulajh ker reh jaata hai. aap khud hi munaasib sawalaat uthaaiye aur saath hi un sawalaat ka apni samajh ke mutaabiq jawaab bhi dijiye. woh jawaab drust hen ya ghalat logoon ko decide kerne den jo apne apne aqlo fiker ke mutaabiq hi baat ko samjhen ge. agar aap ki baat kisi ko drust lage gi to woh maan le ga warna woh us per sawalaat uthaaye ga aur aap ki marzi us ko jawaab den ya khamoshi ikhtiyaar karen.
ham sab insaan hen aur is duniya main koi bhi insaan aisa peda nahin huwa hai jis ko her shai ka ilm haasil ho. ilm ki had ka taaiyun maqsade takhleeq per munhasir hota hai. jis shai ko khudaa ne jis maqsad ke liye peda kiya hai ussi ki had tak us ko ya to ilm diya gayaa hai khudaa ki taraf se ya woh shai khud ussi qadar ilm haasil ker sakti hai kyunkeh khudaa ne us ke andar utni hi salahiyat rakh di hai aur baaqi ussi ki marzi per chhor diya hai keh chahe to ilm haasil kare aur chahe to unjaan rahe. khudaa ne insaanu ko ilm nahin malumaat di hen. ilm aur malumaat main farq hota hai. insaanu ka malumaat ko theek tarah se samajh lene ka naam ilm hai.
yahee wajah hai bemaqsad ilm jis ki insaanu ko koi zaroorat hi nahin hai woh quran main sire se mojood hi nahin hai. yaheen se pata chal jaata hai keh quran main her shai ka ilm nahin hai balkeh jis ilm ki insaanu ko khudaa ka diya huwa maqsad ko poora kerne ke liye zaroorat thi bas wohee ilm quraan main insaanu ko diya gayaa hai.
agar ham quraan ke tarjame aur tafseeren padhen to ham ko maloom ho jaata hai keh tarjamen aur tafseeren kerne waalun ne quraan se us ka maqsade nazool maloom hi nahin kiya aur tarjamen ker daale. khair ye baat doosri taraf nikal jaaye gi. abhi mujhe mazeed aise hi haqaaiq bayaan kerne hen jin ke baghair kisi ka quraan ko theek tarah se samajhne ka dawa drust saabit ho hi nahin sakta.
aap mere bayaan kiye ge is usool per apna tabsra kerne ka poora poora haq rakhte hen. is liye ta keh agar is main kuchh khaamiyan hun to main un ko aap ki madad se door ker sakun. agar aap ko meri ye baat samajh main na aaye to main is ko mazeed mufassal ker ke bayaan ker sakta hun. aur agar aap baat ko samajh ge hen to phir main aage chalun ga ta keh main aap ko agli baat se aagaah karun. yahee baaten hen jo main pehle bhi bayaan ker chuka hun.
in baatun ko bayaan kerne se faaida ye hota hai keh ham insaanu ko maloom ho jaata hai kia mumkin hai aur kia naamumkin. lihaaza aise tamaam aqeede jo aise usoolun per poore na uterte hun un ka saaf saaf pata chal jaata hai. yahee wajah hai quraan ko us ke maqsad ke mutaabiq samajhna laazmi hai warna maamla gard bard ho jaata hai. yahee wajah hai main qurano hadis per baat nahin kerta jab tak log in baatun ko achhi tarah se zehn nasheen na ker len jo main abhi mazeed bataane waala hun.
meanwhile regards and all the best.