22 Life of Prophet Muhammad ﷺ from Authentic Sources - Waraqah ibn Nawfal

jani1

Chief Minister (5k+ posts)
توبہ توبہ…...مذاق کیا ہے؟ یعنی آپ بات قرانی آیات اور احادیث کی کر رہے ہیں
اور آپکو مذاق سوجھ رہے ہیں؟….کم از کم قران کے بارے میں گفتگو فرماتے ہوے
تو مذاق سے پرہیز کریں…...اگر مذاق کرنا ہی ہے تو سیاسی گفتگو کرونا ؟….جیسا
میں نے پہلے کہا تھا….اب اس میں کیا
اب یہ اچھا مزاق کیا ہے۔۔۔
 

TheRealKing

MPA (400+ posts)
This is an excellent Seerah series. 1000 times better than YQ's.

Would recommend this to anyone in a heartbeat.

Been watching it since it started regularly.

May Allah increase the Shaykh in Knowledge and Khair. Ameen
 

jani1

Chief Minister (5k+ posts)
This is an excellent Seerah series. 1000 times better than YQ's.

Would recommend this to anyone in a heartbeat.

Been watching it since it started regularly.

May Allah increase the Shaykh in Knowledge and Khair. Ameen​
جزاک اللہ۔۔۔

ویسے یاسر قادی کے عقائد میں گڑبڑ ہے
وہ قبروں کو، مردوں کو مدد کے لیئے پکارنے کو شرک نہیں سمجھتا۔۔
یہ ان لوگوں میں سے ہے جو اپنے سامعین کی ناراضگی نہیں چاہتے۔۔

اور سارے لوگوں کو خوش رکھنے ،۔۔اپنے فالوورز بڑھانے کے چکر میں اپنے ایمان تک پر کمپرومئز کرنے لگتے ہیں۔۔ایسے لوگوں کے لیئے بری خبریں ہیں قرآن میں۔​
 

TheRealKing

MPA (400+ posts)
جزاک اللہ۔۔۔

ویسے یاسر قادی کے عقائد میں گڑبڑ ہے
وہ قبروں کو، مردوں کو مدد کے لیئے پکارنے کو شرک نہیں سمجھتا۔۔
یہ ان لوگوں میں سے ہے جو اپنے سامعین کی ناراضگی نہیں چاہتے۔۔

اور سارے لوگوں کو خوش رکھنے ،۔۔اپنے فالوورز بڑھانے کے چکر میں اپنے ایمان تک پر کمپرومئز کرنے لگتے ہیں۔۔ایسے لوگوں کے لیئے بری خبریں ہیں قرآن میں۔​

Yes, I am aware.
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
کیا آپ نے اس سے پہلے والی ویڈیوز دیکھی ہیں ؟
جس میں یہی بات کی گئی ہے جو آپ نے کہی

azeezam jani sb, main in sab logoon ki islam daani ko bahot hi achhi tarah se jaanta hun.

ye log asal main koi thos aqli aur ilmi bunyaad hi nahin rakhte. aisi soorat main ye deene islam ki kia khidmat ker sakte hen jin ko pata hi nahin hai keh asal deene islam hai kia aur mazhab aur secularism kia hota hai aur ye keh deene isalm in ke khilaaf kyun hai waghera waghera.

main mazhab aur secularism ke sakht khilaaf hun kyunkeh mazab aur secularism khudaa taala ki zaat ko shaitaan banaa ker pesh kerte hai. kia mazhab aur secularism ka ye stance nahin hai keh khudaa ne ye duniya insaanu ki aazmaaish ke liye banayee hai? jo is imtihaan main paas ho ga us ko jannat mile gi aur jo fail ho ga jahanam main jaaye ga? ab aap khud sochen khudaa ki zaat ke baare main aisa khayaal rakhna kitni sakht ghalat baat hai. main ne is per bahot kuchh likhaa hai keh kyun ye aqeeda ghalat hai.

lihaaza aap khud bhi aqlo ilm se kaam len aur in logoon ko bhi aqlo fiker ki taaleem den. ye log deene islam ke mutaaliq ghalat aqeede aur amaal phelaa rahe hen aur sadyun se phelaate rahe hen.

zaraa sochen aakhir khudaa ko insaanu ka imtihaan lene ki kia zaroorat pesh aa gayee? ye to aik bahot hi bura aqeeda hai khudaa ke baare main jis ka difa mumkin hi nahin hai. is aqeede ki wajah se yahee maloom hota hai keh khudaa aik shaitaan hai aur woh kisi bhi khoobi ka maalik nahin hai jo us ko khoobiyun waala saabit kare.

doosri taraf quraan to shuroo hi khudaa ki khoobiyun ke bayaan se hota hai. aap bismillah ko hi padh ker dekh lijiye. phir ye keh khudaa baar baar ham ko quraan main bataata hai keh us ke sab ke sab naam us ki zaat main mojood khoobiyun hi ki wajah se hen. aisi soorat main agar koi ye kahe keh khudaa ne ham ko bila zaroorat imtihaan ke liye peda ker ke ham per zulmo ziyaadati ki hai to kia hamaare paas us ki is baat ka koi munaasib jawaab ho sakta hai? her giz nahin,

lihaaza ham ko ghoro fiker ko apnaana chahiye aur in mullaan ki badbakhti se bachna chahiye. in logoon ne asal deene islam ko gande mazhabi aqeedun aur amaal se badal diya hai. yahee wajah hai in ka her quraani tarjama aur tafseer ghalat hai keh in ke nazdeek quraan ka maqsade nazool hi yahee hai. issi liye is tanaazur main kiye ge sab ke sab tarjame aur tafseeren ghalat hen.

asal deene islam kia hia woh us ke maqsad hi se pata chalta hai aur woh maqsad main ne tafseel se apni posts main bayaan kiya huwa hai. is aqeede ko us aqeede ke muqaabil rakh ker bataaiye kon se aqeede main jaan hai aur kon sa bejaan aur manghardat hai?

khudaa ne ye duniya hamaari aazmaaish ya hamaare imtihaan ke liye nahin banayee hai balkeh is liye banayee hai taa keh woh apni zaat ko apni sifaat ke zariye insaanu ke saamne laaye. ye hai khudaa ka asal maqsade takhleeqe kaainaat aur khasoosan takhleeqe insaan.

God decided to express himself and he chose to do it in two ways a)by creating all things and b)by sending his revelations. These are two modes of Godly expression. Nothing at all to do with testing people just for sake of fun. God does not make decisions like a silly or an ignorant person. He is mighty wise.

yahee wajah hai main ne aap se pehle bhi arz kiya tha keh asal bunyaadi ikhtilaaf yahee hai keh islam deen hai ya mazhab. asal deene islam khudaa ko khoobiyun waala saabit kerne ka naam hai na keh mazhabi gande aqeedun aur amaal ka naam jo insaaniyat ke liye sakht nuqsaandeh hen aur khudaa ke baare main ghalat tasawuraat dete hen.

regards and all the best.