Jis din deen mukammal hone ki ayyet nazil hui thi oss din koi bokhari sharif koi tirmizi sharif nahi thi .... Koi hanfi koi shafei koi hanbli nahi tha ....
Neez ....... agar Hadith na ho phir jo koi bhi Quran ka jo merzi matlab nikaal sakta hai .... phir hadith bhi jo koi bhi khud se bana sakta hai...
Aaj Sir Syed ko guzre about 150 years hue hain .... ab tumhain koi bataye flan ibne flan ne bataya k os ko flan ibne flan ne bataya k os ko flan ibne flan ne bataya k sir syed ne this and that kaha tha .... you can believe .... kisi ko bhi childhood se aisi baaton pe believe karne ki tarbiyat di jaati rahi ho wo ziada tar cases main zaroor believe kare ga...... Lakin aisi khokhli baatain aakhir kab tak chalian gi............???
Allah ka kaam hidayat dena tha insanu ko so woh de di, rasool ka kaam insaanu woh hidayat pohnchaana tha so woh ponchaa chukke ab jo kaam baaqi hai woh us hidayat ki kitaab se hidayat ko haasal karna hai. yeh hidayat kitaab ko pade aur samjhe baghair namumkin hai.
agar log hidayat haasil nahin karen ge to qayaamat se pehle kahee qayaamte tooten gi aur toot chuki hen. isi liye to kaha hai quran ko samajho ta keh pata to chale jo ilfaaz ham log din raat apni zabaanu se bolte hen un ka matlab bhi ham ko pata chala hai ya mehz aik zehni takhaiyala liye hue idhar udhar bhatak rehe hen.
Allah ham sab ko apni kitaab ko samajhne ki tawfeeq ataa farmaye.
جو اتباع سنت نبی سے لوگوں کو دور کرنا چاہتا ہے
وہ کون سے اسلام کا پیروکار ہے ؟
کامیابی اللہ pbuh کے نبی کی پیروی میں ہے
نہیں سمجھ آتی تو جو مرضی کرو
،pbuhعرب میں ایک بادشاہ ہوا کرتا تھا اسکا نام پرویز خسرو تھا آپ تاجدار مدینہ
pbuhنے اسے خط مبارک لکھا جسے خبیث پرویز خسرو نے پھاڑ ڈالا تو آپ
نے اسکو بددعا دی تھی تو اسکے اپنے بیٹے نے اپنے باپ کو قتل کردیا تھا اسکی سلطنت کے بھی اتنے ہی ٹکڑے ہوے تھے اور
بزگوں سے سنا ہے کہ یہ نام نہیں رکھنا چاہیے
are bhai bat nabi ki peravi ki nahin hai balkeh sunnat ki tareef ki hai. sunnat ke peeche chalna aur baat hai aur yeh jaanana ke sunnat kia hai dono baatun main zameeno aasmaan ka farq hai.
jab aap kisi bat ko sunnat koho ge to us ke liye saboot ki zaroorat ho gi aur woh baat sunnat saabit hi nahin ki jaa sakti jis ka maqsad hi samajh na aaye islam ke daanche main.
jab ham nabi ke amaal ko dekhte hen to un ko quran ki roshni main jo imaarat pesh ki gayee hai us ke mutaabiq dekhna padta hai.
sirf is bat e ke nabi ne yeh kaha yaa yeh kiya is baat se koi baat sunnat nahin ho jaati.
http://www.siasat.pk/forum/showthre...-کیا-ہو-رہا-ہے&p=417839&viewfull=1#post417839
http://www.youtube.com/watch?v=OTo_S_r0cO8&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=Ad5ihWXgM7o&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=N9ZzHP08zzQ&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=lUuunOt7Xno&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=tlrGzZLtBqk&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=vH6FDlLBHQc&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=SvKeNTD1nEU&feature=related
asal main is baat par alag behs ki zaroorat hai keh yeh jis ko aap sunnat samajh baithe hen is ki zaroorat kis ko pesh ayee aur kyun ayee. is ki waja islam ko deen ke bajaye mazhab main badalna tha. yeh tareef jis ka koi sar per nahin hai malookiyati mullah ki pedawaar hai. is ki aad le kar mullah ne bahot si jhooti rawayaat ghad lin ta ke un ki bunyaad par kuchh qawaaneen bana saken jin ke zariye woh malookiyat ka jawaaz nikaal saken.
yeh baat bahot hi ghor talab hai ke jis qaom ne quran ko paaya aur samjha us main kisi ne quran ke siwaa koi doosrikitaab kabhi likhi hi nahin 200-300 saal tak. is baat par khoob ghor karne ki zaroorat hai keh hadith ki woh kitaaben kahan gayen jo sahaba ne likhi thin? Jo tabieen ne likhi thin aur jo un ke baad waale logoon ne likhi thin. aakhir un ko mitaa kar ne sire se nayee kitaaben likhwaane ki zaroorat kyun pesh aayee?
kia waja hai keh shia sunni hadith ki kitaabun ko nahin maante aur kia waja hai sunni shia ki kitaabun ko nahin maaante? isi liye har woh baat jis ko log hadith kehte hen us ko hadith tasleem nahin kiya jaa sakta bila soche samjhe.
baaz logoon ne to hadithun ko quran ke baraabar darja de diya tha aakhir kyun? isi liye taa keh logoon ke dilun se quran ki hamiyat kam kar den aur aja aik hi thi kyunkeh quran malukiyat ka dushman hai. quran na sirf malukiyat ka dushman hai balkeh mullaiyat ka bhi dushamn hai. jin logoon ne islam par tehqeeq ki hai un ko yeh sab baten maloom hen aur jo chhupaate hen un ke apne mafadaat hen. in main siasatdaan, sarmaayadaar, mullah sab hi shaamil hen. yeh aik bahot hi badi chaal hai islam ke khilaaf. isi liye quran ko samajhna bahot hi zaroori hai taa keh pata chale asal baat kia hai aur logoon ne apni taraf se kia kia baaten banaa li hen.
jo bhi quran ko pade ga khudbakhud maloom pad jaaye ga keh quran aik khudayee dastoor hai. is se yeh baat khudbakhud waaze ho jaati hai keh kisi aur shakhs ko apni taraf se dastoor saazi ki islam main gunjaaish hi nahin hai.
quran to khud peghamber ko bhi yeh ijaazat nahin deta ke woh logoon se apni ghulaami karwaye to baadshah kis keth ki mooli hai 3/64,79, 9/31 etc? isi liye nabi ki itaat ka woh mani hi nahin liya jaa sakta jo nabi ko haakim banaa de aur logoon ko us ka mahkoom. sab log nabi hun ya ghaire nabi Allah ke qanoon ke paband kiye gaye hen aur nabi ka kaam logoon ko aik doosre ki ghulaami se nikaal kar khudaa ke qanoon ka paband karna hen. isi liye idaarun ki zaroorat hai aur un main kam karne walun ki tak maashre ki tamaam zaruriyaat ko poora kiya jaa sake. administration ka aik idaara aisa hona zaroori hai jo is bat par nazar rakhe ke log aur idaare qanoon ki pabandi kar rehe hen yaa nahin.
isi liye sunnat ka mafoom bhi soch samajh kar quran ki rochni main hi tayun kiya jaaye ga na ke bila soche samjhe. albatta deen ki samajh ham ka aapas main aik doosre ko samjhaane hi se aye gi. kuchh aap achhi baaten ham ko sikhao ge kuchh ham achhi baten aap ko sikhayen ge aur yun mil kar ham aik doosre ko samjhaa len ge. haan in baatunke liye waqt darkaar hai aur ghoro filkar bhi.
Allah ham sab ko sahee raasta dikhaye ta keh ham log hidayat yaafta ho saken aur insaaniyat ki khidmat kar saken.
You were suppose to answer my question arent you ???
and did i said only Muslim can understand Quran?? grow up open eyes and read my post again.
you try to prove Hadith Khokli batain (Nauzbillah) and i proved that your Ibadat is bassed on those BATAIN unless you prove other wise
any way my past experience with you tells me that you will not answer it directly with reason
محمّدpbuh اللہ کے آخری نبی ہیں
اب کسی اور نۓ نبی ، نئی شریعت کی ضرورت ہی نہ بچی
اور قرآن آخری کتاب ہے ، آپ کی سنّت آخری نبی کی سنّت ہے
بہت پرویز آے ، مرزا آے اور آتے رہیں گے
نہ سنت کا کچھ آج تک بگاڑ سکے ، نہ ان لوگوں کی کمی ہوئی جنہوں نۓ اپنے نبی کی سنّت کو پکڑ لیا
اللہ نۓ اس دین کو بھی باقی رکھنا ہے ، اس قرآن کو بھی اور اپنے نبی کی سنّت کو بھی
اور آج تک باقی رکھا ہے
اس کے لیے اس کو کسی آئیس برگ کے مشوروں کی ضرورت نہیں
Sirf aik alteration kar lo apni post main and it will become my reply. Just replace last sentence with following:
"iss l liye os ko kisi ambroxo k mashwaron ki zaroorat nahi"
us ko apni auqat pata hay
jo log yah sumjthay hian kah Allah kareem apnay nabi ki sunnat aour Hadees ki hifazat nahi farma sktay .. woh bhi apni aoukat daykh lain
Lakin Khuda ne 'hadith' ki hifazat ka wada kiya he nahi... Siraf Quran ki hifazat ka wada kiya hai.
is ka jawab meri pahly post hay
Allah har cheez ki hifazat farma sakte hain. lakin zaroori nahi k practically bhi hifazat farmaein. because aisi kisi hifazat ka Allah ne koi wada nahi kiya. aisa aik wada however zaroor hai aur wo wada Quran k baare main hai.
So tumhari pehli post main koi sufficient jawab nahi tha...!!!
but who are you to ask me any question.....??? Kon si khudayi se kon sa theka le rakha hai tum ne...???
Please answer question raised in following thread.
http://www.siasat.pk/forum/showthre...ib-Must-listen&p=803515&viewfull=1#post803515
can be answer if you ask in short format and to the point questions
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|