is baat main shak nahin keh hamare paighamber aik badi hi baabarkat shakhsiyat the magar yeh sab quran ki barkat thi aur aap ka us par saheeh tarah se amal.
quran main har masle ka hal hai magar woh is tareeqe se nahin hai jo ham logoon ne apni jahaalat ki wajah se apnaa rakha hai. yani ham ko hamare nabi ne maa foqal asbaab ki taleem nahin di balkeh us ke baraks yeh bataaya keh yeh jahan aik nizaam ke mutaabiq kaam karta hai aur is ke baqaaida qawaaneen aur zaabte hen. bas asbaab ki talaash karo jin ki wajah se insaniyat ko bulandi mil sakti hai.
aaj agar ham dekhen to kitne behre sun sakte hen aur kitne andhe dekh sakte hen kyunkeh ham main se kuchh logoon ne in baatun par amal kiya aur insaniyat ke baaz masaail ka hal talaash kar liya. aisi baaten hi qurani taleemaaat ki sachaayee ka saboot hen.
kaash ham log jaan boojh kar andhe na banen aur khudaa aur rasool ki sachi muhabbat ke mayaar ko jaanane ki koshish kar saken.