Re: " Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wassallam)" Part-06
Hmaray Nabi SAW ka toh kissi k sath comparison hai hi nahi
woh toh insano mein sab se afzal hein
as a Muslim.....no one will deny this
phir Hazrat Suleman AS aur Hazoor SAW ka comparison kesa
sab se pehli baat ye ke
Is mein koi comparison nahi hai.
Kuenkay NABI PAK (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) Jesa Na koi Hai, Na Hua Hai, Na Ho Ga .
Is slide mei jo kuchh likha gia hai aur " Faza'el-e NABI (Sallal Lahu Alaihe Wasallam) " ke pehly 5 parts mein jo kuchh likha gia us ka maqsad ye hai ke
ALLAH TA'ALA ne har NABI aur Rasool ko zamanay aur waqt ke lihaz se mukhtalif Mujzay ata farmaey.
Almost 1 lakh aur 24 hazar Anbia aur Rasool mab'oos huey .. in sab ko jo Mo'jzaat ata huay wo sare ke sare Hamare NABI PAK (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) mei jama kar diye gaey hain.
Tu is chapter mein yehi bayan kiya gia hai ke Dosray Anbia Karam aur Hamre NABI Pak (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) mei jo Mushtarik Mujzaat hain wo konsay hain.
Aur aik baat clear kar len..
Is Bayan ka maqsad har giz har giz ye nahi ke NABI Pak (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) ka darjah sab se afzal hai aur Dosray NABI ka darja Kam (Adnaa) hai. (MUA'AZ ALLAH) .. Esa sochna aur khayal karna buht bari Bay-Adbi hai. Na ham mein se koi esa samajhta hai.
Haan , ye kehna Ja'ez hai ke Is NABI ka Darjah Afzal Hai Is NABI Se..
Jesa ke ALLAH PAK Quran Shareef mei farmata Hai;
Ye Rasool Hain, In mein se Aik ko Dosray Par Afzal kiya."
(Al-Baqrah- 253)
Tu ALLAH ka Har NABI Shan wala hai, Ala Muqam Wala hai.. Nabuwwat mein koi farq nahi. Darjoon Mein Farq hai.
Hamara Sab Anbia Karam par Imaan hai. aur Sare NABI Shaan walay hain bayshak.
Hamare AAQA (Alaihe Salatu Wasallam) Sab se Afzal aur Sab se Bari Shaan walay hain.
Mein koi Aalima nahi hon.. buht kam elm , naqis feham hon. bas thori si koshish ki hai baat samjhaany ki.. agar samjhany mein nakaam rahi hon tu .. plz. kisi Mufti ya Aalim sahab se zarur consult karen jo sawal aap ne kiya hai.
Mujh se likhnay ya samjhany mein koi ghalti , kotahi ho gai hai tu ALLAH RABBUL EZZAT se elteja karti hon ke Naam-e-MUHAMMAD (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) ke sadqay se mujy maaf farmaey.. AAMEEN