" Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wasallam) "

Noor-e-Qalb

MPA (400+ posts)
11meve8.jpg

m7rpe9.jpg
 

Pakistan_1st

Councller (250+ posts)
Re: " Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wasallam) " part-2

JazakAllah, Please Every One Recite Darood Shareef...
 

Raaz

(50k+ posts) بابائے فورم
Re: " Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wassallam)" Part-04

pbuh pbuh pbuh
 

basent

Senator (1k+ posts)
Re: " Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wassallam)" Part-04

:jazak::jazak::jazak::alhamd::alhamd::alhamd::alhamd:
 

M javed

Banned
Re: " Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wassallam)" Part-04

Afsoos ki baat hay - ham quan-e-paak ko parte to hein maggar samajte nahein

ham ne yeh kaam sirf aur sirf mullan ke hawale kya huwa hay.

Nahayat adab se gozarish karta hoon keh yeh baat ain quan ke motabiq hoti aggar nabe-e-pak(saw) ka moqabala musa aleh is salam ya kissi aur nabi ke saath na kya jaata. Allah ki zaat iss baat ki ijazat nahein deti.

Sab se pehli baat yeh keh ambia (ahs) ke mojzaat unn ke apne apne zamane aur hallaat ke motabiq hote hein. Iss liye kissi ke moqqaam ko barhana ya kam karna yeh makhlooq ka kaam nahein. Aggar yeh kaha jae hazrat ibraheem ne aagh ko thanda kya hazrat musa ne kyun nahein kya -hazrat saleh nay pahar se ootni nikaali hazrat muhammad ne kyun nahein nikali - iss ko ham jahloon ki baati to keh sakte hein koi mazhabi baat nahein keh sakte. Sabh se bari baat yeh keh nabbi ki zaat khud allah ki nishani hoti hay. Uss ka apna kuch nahein hota- sabh allah ki taraf se dya huwa hota hay.allah ki zaat har nabbi se wohi kuch karwati rahi jo uss nabi ke waqat ke log allah ki zaat ko pohchanane ke liye ba-tore shart matalba karte the. Nabi akram saw ke mot'allaq quran yeh keh dya " woh to apni mazi baat bhi nahein karte yeh to ain wahi hoti hay. Essi baatein hazrat eesa nay bhi nabi akram saw ke mot'allaq peshgoi ke taur per kein.

Doosari baat yeh hay keh quran-e-paak ki wazeh aayat hay "la nofarre qo bana ahadim mir-russolihi" ham nahen faraq karte uss ke rassooloon main se kissi main bhi" - iss liye sirf nabi akram saw ki midhat bagher maqable ke karna ain durust aur ba'isse sawaab hay. Lekan kissi doosre nabi ke saath moqabla, quran e paak ki iss ayat ki takzeeb hay. Molvi hosh ke naakhun lay.

Issi tarah ham aur bhi bohat saari galtyan karte hein masalan: Ham 'tie' ko libbas ka hissa samajte hein lekan haqeeqat yeh hay keh ham evidence de rahe hote hein keh naooz billah hazrat eesa asws sooli (saleeb) per charhaye gaye. Yeh bhi quran paak ki iss ayat ki khilaf warzi hay jiss main allah tala nay farmay "neither he was killed nor was he strangulated but they were in a doubt".

One of our mullah's - zakar niak- convenes big gatherings and addresses with a 'tie'. May allah give him hadayat.

We need to understand a difference between gonah and jurram. Gonah mainly deals with haqooq-ullah whereas jurram mainly deals with haqooq ul ebaad. We have been given to understand - do one hajj near the end of your life - you will come out as you were born on the very first day of your life. We must understand tauba is only frm haqooq ullah and not from haqooq ul ebaad. May be you have become free of sins as you were on you first day in this world when you carried out tauba but your haqooq ul ebaad are still there. So the lesson is you have to be very careful about your dealings with other human beings 'moaamlaat'. God is a great forgiver- may be he will figive you for any of the or all the lapses which took place in the carrying out of his worshippings 'ebaadaat'. It deos not mean at all that all your jaraem have been forgiven as well.
 

angryoldman

Minister (2k+ posts)
Re: " Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wassallam)" Part-04

agar muqabla kerna hai to apny taqwa ka kerna chahiy aapny amal ka kerna chahiy.sab anbia aur rusal aleh salam aik hi mission per aye thy aur woh tha allah ka din.bajay is ke keh hum apas main yeh behas kerty rahy ke un main se kon afzal hai aur kon nahi kon zayada martaby wala hai kon nahi hamain apny anjaam ka sochna chahiy aur un ki taleemat per amal kerna chahiy.woh to sab jaanti hain is ka hamain pata hai lakin mera aur app ka thikana konsa hoga is ka kisi ko nahi pata siway allah tallah ky.maslikism main perny se behtar hai apny taqwa aur amal ko behtar karain.....
 

sahiL

Senator (1k+ posts)
Re: " Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wassallam)" Part-06

Hmaray Nabi SAW ka toh kissi k sath comparison hai hi nahi
woh toh insano mein sab se afzal hein
as a Muslim.....no one will deny this
phir Hazrat Suleman AS aur Hazoor SAW ka comparison kesa
 

Noor-e-Qalb

MPA (400+ posts)
Re: " Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wassallam)" Part-06

Hmaray Nabi SAW ka toh kissi k sath comparison hai hi nahi
woh toh insano mein sab se afzal hein
as a Muslim.....no one will deny this
phir Hazrat Suleman AS aur Hazoor SAW ka comparison kesa

sab se pehli baat ye ke

Is mein koi comparison nahi hai.

Kuenkay NABI PAK (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) Jesa Na koi Hai, Na Hua Hai, Na Ho Ga .

Is slide mei jo kuchh likha gia hai aur " Faza'el-e NABI (Sallal Lahu Alaihe Wasallam) " ke pehly 5 parts mein jo kuchh likha gia us ka maqsad ye hai ke

ALLAH TA'ALA ne har NABI aur Rasool ko zamanay aur waqt ke lihaz se mukhtalif Mujzay ata farmaey.

Almost 1 lakh aur 24 hazar Anbia aur Rasool mab'oos huey .. in sab ko jo Mo'jzaat ata huay wo sare ke sare Hamare NABI PAK (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) mei jama kar diye gaey hain.

Tu is chapter mein yehi bayan kiya gia hai ke Dosray Anbia Karam aur Hamre NABI Pak (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) mei jo Mushtarik Mujzaat hain wo konsay hain.

Aur aik baat clear kar len..

Is Bayan ka maqsad har giz har giz ye nahi ke NABI Pak (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) ka darjah sab se afzal hai aur Dosray NABI ka darja Kam (Adnaa) hai. (MUA'AZ ALLAH) .. Esa sochna aur khayal karna buht bari Bay-Adbi hai. Na ham mein se koi esa samajhta hai.

Haan , ye kehna Ja'ez hai ke Is NABI ka Darjah Afzal Hai Is NABI Se..

Jesa ke ALLAH PAK Quran Shareef mei farmata Hai;

Ye Rasool Hain, In mein se Aik ko Dosray Par Afzal kiya."

(Al-Baqrah- 253)

Tu ALLAH ka Har NABI Shan wala hai, Ala Muqam Wala hai.. Nabuwwat mein koi farq nahi. Darjoon Mein Farq hai.

Hamara Sab Anbia Karam par Imaan hai. aur Sare NABI Shaan walay hain bayshak.

Hamare AAQA (Alaihe Salatu Wasallam) Sab se Afzal aur Sab se Bari Shaan walay hain.

Mein koi Aalima nahi hon.. buht kam elm , naqis feham hon. bas thori si koshish ki hai baat samjhaany ki.. agar samjhany mein nakaam rahi hon tu .. plz. kisi Mufti ya Aalim sahab se zarur consult karen jo sawal aap ne kiya hai.

Mujh se likhnay ya samjhany mein koi ghalti , kotahi ho gai hai tu ALLAH RABBUL EZZAT se elteja karti hon ke Naam-e-MUHAMMAD (Sallal Lahu Alaihe Wa'alehi Wasallam) ke sadqay se mujy maaf farmaey.. AAMEEN
 

sahiL

Senator (1k+ posts)
Re: " Faza'el-e-NABI (Sallal Lahu Alaihe Wasallam) " Last-Part

Nabi SAW ne Allah k hukm se bohat saray miracles dekhaye......Allah hum sabko unki sahi mohabbat ata fermaye...Ameen
 

Back
Top