Mujhey lagta hay PMLN & PPP khatam honey jaa rahi hain, PPP to sirf Sindh tuk reh gai hay, shaid next election mein Sindh se bhi khatma ho jay, PMLN bhi bus next election tuk rahey gi, us kay baad khatam samjhein, 2028 mein PTI ka muqabla koi nai siyasi party karey gi
Ager PMLN hakomat sanbhaltey hi election karwa deti to kuch dhandli waghera kar kay next 5 year kay liey hakomat bana laiti, lakin ab sirf next election tuk hi jaa sakti hay yaani 2023 ya ziada koi chakar chala kar 6 month ya 1 saal mazeed nikaal lay, wo bhi depend karta hay ager economy ki situation behter hoti hay tub warna in se to next 6 month nikalna bhi mushkil ho jay ga
ye jo garmio ka mosam aa raha hay is mein boht load shedding hogi or bill bhi boht ziada aaein ge jis ki waja se mulk mein halaat mazeed kharab hongey, hakomat ka chalna mushkil ho jay gaministers, advisors ka gharo se nikalna mushkil ho jay ga