awara ajnabi

Politcal Worker (100+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)


رات یوں دل میں تری کھوئی ہوئی یاد آئی
جیسے ویرانے میں چپکے سے بہار آجائے
جیسے صحراؤں میں ہولے سے چلے بادِ نسیم
جیسے بیمار کو بےوجہ قرار آجائے

 

awara ajnabi

Politcal Worker (100+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

دل ہی تو ہے نہ سنگ و خشت، درد سے بھر نہ آئے کیوں؟
روئیں گے ہم ہزار بار ،کوئی ہمیں ستائے کیوں؟

 

fayyaz786

Politcal Worker (100+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Aashiqi se mile ga ae Zaid
Bandagi se Khuda nahi milta
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

[h=2]Dil Ki Baat…
[/h] Dil Ki Baat Zabaan Tak Laana Kitna Mushkil Hai
Haal-e-Dil Auroon Ko Sunaana Kitna Mushkil Hai

Ek Hume Hai Teri Chaahat,Ek Duniya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalaana Kitna Mushkil Hai

Ab To Har Ek Hi Hum Ko Dard Ka Maara Lagta Hai
Apne Zakhm Logo Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhjse Aik Nayi Tamanaa Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bacche Ko Samjhaana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay,Tum Hontho Ko Sunne Wale
Apni Chahat Yu Tumhe Bataana Kitna Mushkil Hai
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

559034_494999223867810_511336571_n.jpg
 

umerazam

MPA (400+ posts)
Re: Poetry Dedicated to all Pakistani living abroad.

aur ghar k darwaze par jb b ahat hoti ho ge yaroo
maa ki nazren uthte hun gi behna khush ho jati ho ge
aba b apne kumre se uth k bahar ate hun ge
har koi yeh sochta ho ga shahid beta aya ho ga
chota bhai darwaze ki kundi a kar kholta ho ga
aur gali me kuch b na pa kar jane kia kuch sochta ho ga
jane kb tk roota ho ga ab b aisa hota ho ga :(
 

lurker

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Un ke andaz-e-karam, un pe wo Aana dil ka
Hai woh waqt, woh batain, woh zamana dil ka


Na suna us ne tawajo se fasana dil ka
Umr guzri hai par dard na jana dil ka


Dil lagi dil ki lagi ban ke mita deti hai
Rog dushman ko bhi ya rab na lagana dil ka


Woh bhi apnay na huway, dil bhi gaya hathon se
Aisa anay se tu behtar tha na aana dil ka


Unko mehfil mein naseer un ke tabassum ki qasam
Hum dekhte reh gaye haath se jana dil ka

:)