Altaf Lutfi
Chief Minister (5k+ posts)
ek aisay mulk main jahan ek hangamay par ghar ki ronaq mauqoof ho, 145 lashon ka haath lag jana goya lottery nikal aanay wali baat hai. ab mahir fankaar is julaibi ko apnay dhang se trashtay rahain gey. yeh un ki rozi roti hai. lekin dunya ka nizaam kuchh bunyadi usoolon par chalta hai. sada si sachai yeh hai keh marnay walon k saath mara nai jata, un k gham ko taqat bana kar aglay qadam ka socha jata hai.Qaumain aansoo bahati hain, ban nai karteen.dil se khoon behta hai lekin chehray par tamazat barqarar rehti hai.
APS k gate par "Shuhada Forum" ne qaumi yakjehati ka sar ANP k siasi nezay par buland kar k jatla dia keh India k dil main jis ghao ko Pakistan ne gehra kar dia hai, us k jawab main India nawaz lobby k paas kai ghatya harbay ho saktay hain. Un maaon ko salam jin k sabr aur hosalay main quroon-e-oola k musalmano ki jhalak nazar aai. Shuhada Forum walay chand ANP k fareb main phans janay walay logon ne apnay shaheedon k dukh ko qaum k dukh se alag kar k na apna bhala kia aur na qaum ka.