Ghamidi Ke Saath - 14th June 2013 - Democracy: in Accordance Or Contrary to Islam

AsifAmeer

Siasat.pk - Blogger
Ghamidi is jewish. He is hiding his Yamaka. There is no way in hell that a Muslim scholar would make this much sense. We should kill Ghamidi.

Kesa hai yeh Mullah jinkay Islam ko fitnay hi kha jatay hai... kitnay kamzoor hai dil inkay... Kitna Kamzoor hai Imaan inka...
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
dosto is baat ko achhi tarah se jaan lo ke aqal aur cheez hai aur maloomaat aur cheez.

aqal aik dimaaghi radde amal hai jo maloomaat par inhisaar karta hai.

aap ghor karo jab aap peda huwe the kia aap sab kuchh jaante the?

dimaagh aap ke paas tha aur hawaase khamsa bhi. na aap apna dimaagh istemaal karna jaante the na hawaas aur apne jism ke hisse aur haath paaon.

aap ko yeh bhi maloom nahin tha aap ka sar hai aur is main aap ka dimaagh hai.

yeh sab maloom karne ke liye aap ko kitna arsa laga?

zindagi main sab se pehle insaan ko apne aap ki pehchaan peda karni padti hai, yani yeh jaanana padta hai aap kin kin salaahiyatun ke maalik hen.

jab aap khud ke baare main kisi had tak jaan lete hen phir aap doosri cheezun ki taraf tawajo dete hen, pehle qareeb ki cheezun par phir qadre door ki cheezun par.

apne aap se taaraf ke baad aur doosri cheezun se mutaarif hone ke baad baaqi baatun ko samajhne ki sata par aap pohnchte hen, woh bhi agar aap seekhen to warna nahin.

bahot se log jaise peda hote hen waise hi mar jaate hen.

deen ka seekhna aakhri satah par pohnch kar aata hai pehle nahin. is ki waja yeh hai keh jab tak insaan apne dimaagh aur hawaas ko achhi tarah se istemaal karna seekh nahin leta woh doosri cheezun ko samajh hi nahin sakta. dimaagh aur hawaas aala hen cheezun ko samjhne samjhaane ke liye.

is ka matlab yeh hai tajarbaati ilm insaan ke doosri cheezun ko samjhne ki bunyaad hai. isi liye jo baat zindagi ke tajarbaat ke mukhaalif ho insaan us ko rad kar deta hai aur karna bhi chahiye kyunkeh bagher tajarbaati ilm ke insaani ilm ki koi bunyaad hi nahi hoti.

deen ki baaten tajarbaati aloom se waraa nahin hotin balakeh unhi se mutalqa hoti hen. waja yeh hai deen duniya hi main rehne ka raasta batata hai.

isi liye quran aur hadith ko samjhne ke liye aise logoon ki zaroorat hai jo bunyaad ko achhi tarah se samjhte hun ta ke woh deen ki aisi tabeeren na karen jo zindagi se koi taaluq hi na rakhti hun.

yahee wajah hai aisi tamaam taabiren deen ke naam par ghalat hen jo deen ko aik tamaasha banaa den, yanio jin main koi aqal ki baat hi na ho.

ab jese aap peda huwe the aur kuchh bhi nahin jaante the yahee haal sab insaanu ka hai. ilm seekhte seekhte aata hai aur raaste main beshumaar dafa aadmi ghaltiyan karta hai. is liye ke insaan tajarbaati zindagi se waraa nahin hai aur tajarbaati zindagi main bila ghalti ke kuchh seekhna taqreeban namumkin hai. yahee wajah hai khudaa ham ko aik bache ki haalat main peda karta hai aur phir ham batadreej seekhte seekhte jawaan hote hen.

is liye kisi sakhs ko ghalti se paak samjhna bilkul bebunyaad hai. ambiyaa tak se ghaltiyan mansoob hen aur aadam ki ghalti to sab log sunte aaye hen.

is liye ghamdi sb se ya apne aap se yeh tawaqo ke ham ghalti se paak hen bilkul hi ghalat baat hai. agar aap doosrun ko ghalti se paak tasawur karte hen to is ka matlab hai khud aap abhi ilm main bahot bunyaadi darje par hen.

jab tak khud hamaari apni ilmi satah buland nahin ho jaati ham doosre ki ghalti saabit hi nahin kar sakte kisi maamle main. phir ilm seekhne sikhaane ki baat hai ladayee jhagde ki to baat hi nahin hai. is liye laan taan karna ilmi gutaguh main gher munasib ho ga.

ham main se har koi ilmi raaste par gaamzan hai koi abhi chala hai aur koi abhi raaste ki kisi na kisi masaafat par hai. doosrun ko sikhaaiye aur doosrun se seekhne ki aadat daaliye phir kisi achhe nateeje par pohnchne ki tawaqo ki jaa sakti hai warna raaste hi main bhatak bhatak kar mar jaana hai.

aap ghor to karen keh aap ne kitna arsa main khud apni salahiyatun ko maaloom kiya yaa phir doosri cheezun ke wajood ko jaana keh woh kahan se aayee hen aur un ka maqsad kia hai ya woh kaam kaise karti hen.

bilkul isi tarah qurano hadith bhi bahot mehnat ke baad samajh main aate hen. aap ke abba amma ne kitni mehnat se aap ko bolna sikhaaya, uthna sikhaaya , chalna sikhaaya, baat karnba sikhaaya. har bar jab aap ko aik baat par aboor haasil ho gaya aap main khud ehtamaadi aa gayee. isi tarah jab aap ko qurano hadith ki sahee samajh aa jaaye gi aap main khud ehtamaadi peda ho jaaye gi kyunkeh aap aqli bunyaad par har sawaal ka achhe tareeqe se jawaab de saken ge. yeh baat khud apne zehn se shuru karen yani khud qurano hadith ki baatun par ehtraaz karen aur jawaab dene ki koshish karen. isse insaan main soch aur ghoro fikar ki satah buland hoti hai.

isi tarah doosrun ke sawaalaato jawabaat par bhi gthor karen ta keh aap ke apne ilm main baraabar izaafa hota chala jaaye.

ilm seekhna qatan aasan cheez nahin hai is main bahot hi jaan tod mehnat ki zaroorat hai aur yeh saari zindagi karne ka kaam hai.

doosrun ke kehne par aik doosre par laan taan mat kijiye khud main salahiyat peda kijiye keh aap sahee baat ko khud samajh saken aur drust baat par jam kar khade ho saken aur doosrun ko aqli tor par apna ham khayaal banaa saken.

http://www.siasat.pk/forum/showthread.php?128293-Mixed-thread-for-educational-purposes/page2
 
کی جاناں میں کون

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Democracy: in Accordance Or Contrary to Islam - Ghamidi Ke Saath - Latest 14-6-2012 - SAMAA TV

jin chezon key barey main wazeh hey Quran aur sunnat main, us per to behs ho hi nahin sakti.

lekn ager kisi muamley main confirm nahin hey ,key ye cheez haram hey ya hallal. us key barey main tou Aksriat Ulma ki raaye ko hi mana jaaye ga . ya nahin.

دین میں جن چیزوں کی وضاحت ہوئی ہے قران اور سنت سے اس کا فیصلہ اکثریت نہیں کریگی
 
indigo

Siasat.pk - Blogger
Re: Democracy: in Accordance Or Contrary to Islam - Ghamidi Ke Saath - Latest 14-6-2012 - SAMAA TV

lekn ager kisi muamley main confirm nahin hey ,key ye cheez haram hey ya hallal. us key barey main tou Aksriat Ulma ki raaye ko hi mana jaaye ga . ya nahin.

Nahi bhai, raye to aksariyat hi ki masalat hogi, lekin Islam kiya hai, Haq kiya hai.... woh apni jagha barkarar rahe ga chahe poori dunya Batil ki taraf khari ho... uska faisla aksariyat par nahi dallial pe hoga.
 
BIRDEYE

Voter (50+ posts)
Re: Democracy: in Accordance Or Contrary to Islam - Ghamidi Ke Saath - Latest 14-6-2012 - SAMAA TV

اگر یہ اختلاف ہو جائے کے کیا حلال ہے اور کیا حرام، اس کر فیصلہ اکثریت کرے گی یا دین؟
ظاہر ھے دین کریگا۔
 
Bangash

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Democracy: in Accordance Or Contrary to Islam - Ghamidi Ke Saath - Latest 14-6-2012 - SAMAA TV

ظاہر ھے دین کریگا۔
لا مذھب کا دین نہیں ہوتا

مسلمانوں میں جمہوریت نہیں ڈکٹیٹر شپ ہے اور ایسے ڈکٹیٹر غیر مسلموں کے ماتحت ہیں جس کی وجہ سے مسلمان کی آواز کمزور ہوتی ہے کیونکہ مسلمانوں کی آواز کو دبانے کی کوشیش ہوتی ہے ان کے ساتھ معملات انصاف کے ساتھ حل نہیں ہوتے جس کی وجہ سے دہشت گردی کا آغاز ہوتا ہے
اس وقت مسلمانوں اور غیر مسلموں کے درمیان جنگ کی وجہ بھی یہی ہے

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Democracy: in Accordance Or Contrary to Islam - Ghamidi Ke Saath - Latest 14-6-2012 - SAMAA TV

اگر یہ اختلاف ہو جائے کے کیا حلال ہے اور کیا حرام، اس کر فیصلہ اکثریت کرے گی یا دین؟

DEEN bazaate khud koi motaharak shai nahin hai sirf malumaat ka majmuwa hai. asal faisla insaanu ne hi karna hai. khudaa ne kitni kitaaben bhejin magar aik bhi kitaab khud bakhud aasman se neeche na ayee sab ki sab paighambarun ke zariye aayin.

deen ka faisla bhi aksariyat hi ne karna hai keh woh kis deen ke pero hona chahte hen. isi tarah kia legal aur kia illegal hai yeh bhi insanu hi ne tai karna hai. kitaab to aik khamosh aur bejan cheez hai kabhi kisi ko zor zabardasti se apne peechhe nahin chalaati.

isi liye ham ko kitaab ko achhe tareeqe se khud samajh kar baaqi logoon ko samjhaana hai ta keh sab mil kar sahee deen ko samjhen aur us par sahee tarah se amal kar saken.

har faisla insaan karte hen malumaat sirf madad kar sakti hen drust faisla karne main magar un ka sahee samjhna az bas laazmi hai.

ab sawaal peda ho ga aap kitaab ko sahee samjhe ya main yaa koi aur? yeh formula samjhna samjhaana isi liye zaroori hai warna kisi ke paas koi pemaana hi nahin ho ga jisse woh kisi ka sahee yaa ghalat hona saabit kar sake.

is waqt musalmaan kehlwaane waalun main ikhtilaaf issi waja se hai keh ham log deen ki us had tak samajh nahin rakhte jis had tak ham par deen sahee maanu main waazeh ho. sab apni apni ghanti bili ke gale main baandhne ki koshish kar rehe hen bajaaye is ke keh pehle itfaaq kar len kon si ghanti ziyaada munaasib hai aur aasaani se baandhi jaa sakti hai.
 
Last edited:

atensari

(50k+ posts) بابائے فورم

جمہوریت متحرک چیز ہے جو خود بخود نفاذ ہو جاتی ہے. افغانستان اور عراق میں جس انداز میں جمہوریت تھوپی گئی ہے ڈیکٹیٹر شپ سے کم ہے کیا؟

جمہوری اماموں نے یہ فیصلہ کیا ہے کے زنا، جوا، سود، شراب، ہم جنس پرستی، سور، مردار سب حلال ہے اور جمہوریت کے مقلدین بقیہ دنیا کو اسی طرف لے کر جا رہے ہیں

صحیح دین میں اوپر بیان کردہ ہر چیز حرام ہے

کیا آپ کی نظر میں وہ گھنٹی مناسب ہے جو حلال ور حرام کا فیصلہ دین کی بجائے ٥١% فیصد کی رائے پر کرے؟