koi bhi musalmaanu ke saath muqaabla ker hi nahin sakta khudaa ki zaat ke baare main munaazara main. agar kisi ko shak hai to ker ke dekh le. bunyaadi wajah ye hai keh kisi ke paas koi aisi kitaab hi nahin hai jis kitaab ka dawa ho keh woh khudaa ki bhaiji hui kitaab hai. yahee nahin balkeh khud kitaab waale kehte hen keh jo kitaab hamaare paas hai woh insaanu ki likhi hui hai. veda lijiye, avesta lijiye, torah lijiye, new testament lijiye waghera waghera.
jab kitaab aur us ke maanane waale khud ye baat maante hen to phir ikhtilaaf ki gunjaish kahaan reh jaati hai? lihaaza aqlo fiker se kaam lo aur bekaar baatun main aik doosre ka waqt zaaya mat karo.
quraan aur us ke maanane waalun ka dawa yahee hai keh ye khudaa ki wahee hai. yaani ye kitaab bandun ki likhi hui nahin hai balkeh khudaa ne likhi hai.
ab ye dawaa drust hai ya ghalat is per munaazra ho sakta hai. albata ye munaazara wohee ker sakta hai jo quraan ko theek tarah se samajh sakta ho aur koi bhi aisa ker hi nahin sakta.
lihaaza agar aap main koi aisa hai jo quraan ko theek tarah se samajhne ka muddaiee ho to woh saamne aaye aur bataaye keh quraan ko theek tarah se samajhne ka saheeh tareeqa kia hai.
issi baat pe sab ke towte ud jaate hen. For a detailed explanation of things see
HERE,
HERE,
HERE and
HERE.