Islamic scholars should get trained to face media - Zakir Naik

angryoldman

Minister (2k+ posts)
loadpictures.net
[/URL][/IMG]
 

al-boriqee

Citizen
Re: Islamic scholars should get trained to face media

based on the topic title, it seems like whoever is behind this (and whoever agrees) somehow believes that the "media" is some kind of unbiased platform with no motive behind it.
 

sahiL

Senator (1k+ posts)
salute to Zakir Naik...the way he kept all the enemies of Islam at bay after Ahmed Deedat....Mashallah doing gr8 job for the betterment of Islam.....
true Mujahid he is....
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
asal main deen ki bunyaad par tafreeq insaanu ke liye bahot hi zaroori hai. nizaam kehte hi kisi na kisi qanoon yaa zaabte ko hen aur qanoon jahan bhi dakhal andaaz ho ga waheen tafreeq is ka laazmi nateeja ho gi. aisa naamumkin hai keh qanoon bhi ho aur koi khayaal yaa amal ghair qanooni bhi qaraar na diya jaa sake.

asal masla dastooro qanoon ke hone yaa na hone ka nahin hai is liye keh sab duniya kisi na kisi dastooro qanoon hi ke mutaabiq apna apna mulak yaa society yaa organization chalaa rahee hai. duniya main hamesha se har qabeele ka kuchh na kuchh dastooro qanoon rahaa hai. qanoon ka matlab hota hi daaira kheenchna hai. kuchh is ke andar hote hen kuchh bahir. aap ka taaluq agar mere qabeele se nahin hai to aap kisi doosre qabeele ke hen. is main ladayee jhagde ki kia baat hai? isi tarah agar aap musalmaan nahin hen to kaafir hen yani ghair muslim yani aap daairae islam se khaarij hen. aap ka apna koi daaira ho ga jis ko aap drust samajhte hen. laikin us main bhi kuchh log to bahir hi hun ge. lihaaza dastooro qanoon kyun hai is par behs hi fazool hai. islam aik deen hai aur is ka apna dastooro qanoon hai aur kuchh log is ke andar hen aur kuchh bahir.

agar koi quran ko nahin maanta aur kehta hai main musalmaam hun to yeh aik zor zabardasti ki soorat peda kar deta hai. isi tarah agar koi quran par mabni mutafiqqa dastooro qanoon ko nahin maanta to woh musalmaan nahin hai ummat ke nazdeek. is par behs ki gunjesh hai keh ummat ke log jo kuchh quran ki taraf mansoob karte hen woh drust hai yaa ghalat. laikin is ka bhi aik tareeqa hai jis par amal ke baad hi faisla diya jaa sakta hai ummat ke nazdeek deene islam hai kia aur is ka dastooro qanoon kia hai. abhi kyunkeh ummat main beshumaar firqe hen aur har firqa doosre ko musalmaan hi nahin samajhta to phir masle ka hal mushkil hai aur isi wajah se aisi baaten ummat ke liye baaise ruswayee bani hui hen aur darde sar bhi.

jab se pakistan bana hai hamaare molavyun ka kirdaar mullah ka rahaa hai. in logoon ne deene islam ko masakh kar ke rakh diya hai magar yeh aik alag behs hai. deene islam ka aik alag tashakhus laazmi hai aur us ke liye agar mullah bhi koi baat karte hen to us ko bhi rad nahin kiya jaa sakta agarche mullah ko khud bhi yeh maloom nahin hai asal deene islam hai kiya aur kyun hai. yeh baat ham ko tasleem kiye baghair chaara hi nahin hai keh islam islam hai hinduism yaa koi aur deen yaa mazhab nahin hai. isi liye musalmaan kehlwaane waalun ka bhi apna aik alag tashakhus hai. is par kisi qisam ka ehtaraaz ghalat hai. haan kisi ko is bunyaad par qaable qatal qaraar dena keh woh musalmaan nahin hai yaa us ne islam ke daaire se khud ko nikaal liya hai yeh baat drust nahin hai. agar koi musalmaan islam chhor kar koi aur raasta ikhtayaar karta hai to us ke bajaaye un logoon ki gardan pakadni chahiye jin par khudaa ne deene islam ko saheeh saheeh logoon tak pohnchaane ki zimmadaari daali aur un ki ghair zimmadaari ki wajah se logoon ko deene islam ka ilm hi nahin rahaa aur woh na kabhi musalmaan the na hen. bas aik naam hai jo ham logoon ne apne liye tajweez kar liya hai. aur jannat main jaane waali qataar main khud ko shaamil samajhte hen.

asal masla yeh hai asal deene islam kia hai aur saheeh tor par musalmaan kon hai. jab ham yeh masla hal kar len ge sab theek ho jaaye ga. aaj to ham ko sharam aani chahiye keh duniya bhar main musalmaanu ke saath log kar kia rahe hen aur aisa ho kyun rahaa hai. aaj to duniya bhar main khud ko musalmaan kehlwane waalun ne deene islam ko badnaam karwaa diya hai bebunyaad baatun ko khudaa aur rasool ki taraf khud mansoob kar ke. agar ham is daldal se nikalna chahte hen to phir ham ko bazaate khud deene islam ko quran se phir se saheeh tor par samajhna ho ga mullah se nahin.
 
Last edited: