Javed Ahmad Ghamdi Threads - Collection

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Islam and Democracy ------ اسلام اور جمہوریت



ye baat mujey nahi pata thi ,acha hoa tum ney bata di.

ghamdi fitna mojoda dor ka aik Lawrence of Arabia hai.

Aur yeh bhi yaad rakhna ke Ghamdi Qadyanion ka most Favourite naam niyaad aalim hai , kui ke qadyani apne kufriya aqaid ka khullam khulla parchaar nahi kar sakte , Lekin jub se ghamdi aaya hai qadyanion ke mazzay ho gaye hain kuin ke ab woh apne kuffar ko paish karne ke liye ghamdi ka Sahara lete hain

Youtube par ghamdi ke darood e paak ke inkar ki puri Video thi jo main ne khud dekhi hai aur mazzay ki baat yeh hai ke ghamdi ne Darood e Paak ka inkar ghakkay chuppay lafzon main nahi balkay khullam khulla kia hai
 

tariisb

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Islam and Democracy ------ اسلام اور جمہوریت

Thanks, Aap k paas agar youtube chal rahi hai tu ja kar search kar k dekh saktey ho k ghamdi ney sood denay ko halal kaha hai. aur agar video na miley tu mujey bata dey main link send kar do ga.

http://www.youtube.com/watch?v=hpxkFpGHihY


غامدی صاھب نے ، قرآنی تشریح کے مطابق سود لینا کو حرام کہا ہے ، اور احادیث کے مطابق سود کے کاروبار میں معاونت کو بھی حرام کہا ہے ، ان کے نزدیک معاونت میں ملازمت یا سود دینا شامل نہیں ، یہ ان کی راۓ ہو سکتی ہے ، جس طرح دوسرے علما بھی اپنی اپنی راۓ زنی کرتے ہیں ، لیکن یہ کہنا کہ ، وہ قران میں تحریف یا کسی حرام کو حلال کر رہے ہیں ، سراسر غلط ہے ،


اسی طرح بعض علما بینک میں کرنٹ اکاونٹ رکھنے کو جائز سمجھتے ہیں ، اور بعض حرام کہتے ہیں ،
اب اس تعبیر کے اختلاف پر ایک دوسرے کو فتنہ ، کافر کہا جاۓ تو ، یہ غلط ہے


 

tariisb

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Islam and Democracy ------ اسلام اور جمہوریت

bhai tariisb aisi baat nahi :)

aap ko yaad ho to aik thread bana tha jis main kisi member ne kaha tha ke woh apni wife ko ghussay main divorse kar chuka hai , us thread main Mohtarma @nuzhatghazali ki post thi jis main mausoofa ne us divorce wale banday ko kaha tha ke woh dosre ulama ki baat na sune kuin ke woh ulama to divorce kerwa ke hi dam lain gay ar nuzhat ne un ko mashwara diya ke is divorce ke muamlay main Ghamdi ki Rai li jai.

Mujhe in ka yeh comment yaad tha , bus aaj Paki muslim ki woh post Best Mooqa tha us baat ka jawab dene ke liye . yehi wajjah hai ke main ne in ko Quote kia hai kuin ke mujhe lagta hai ke un ka Deen e Islam ki taraf rujhan bohut ziada hai aur bhatkay huay loogon ko raasta dikhana to bohut ajar o sawaab ka kaam hai.

Yeh to har Musalman par farz hai ke woh Ghamdi ke har chahne wale ko ghamdi ka Asli Chehra Dikha de


اگر ان عزت مآب جنابہ محترمہ نے ، کسی کو درست سمت کی آگاہی دی ہے تو ، یہ اچھی بات تھی ، اگر کوئی اس غصے والے بھائی کو کہتا کہ ، آپ اپنی بیوی کو ایک رات کے لیے کسی مولوی یا کراۓ کے سانڈ کے حوالے کرو ، اور صبح طلاق حاصل کرو ، اس طرح وہ پھر سے حلال ہو جاۓ گی تو ، پھر آپ کو کوئی فتنہ ، آوارگی ، فحاشی ، بد چلنی اور قران سے کھلواڑ نظر نا آتا ،
 

paki-muslim

Minister (2k+ posts)
Re: Islam and Democracy ------ اسلام اور جمہوریت


http://www.youtube.com/watch?v=hpxkFpGHihY


غامدی صاھب نے ، قرآنی تشریح کے مطابق سود لینا کو حرام کہا ہے ، اور احادیث کے مطابق سود کے کاروبار میں معاونت کو بھی حرام کہا ہے ، ان کے نزدیک معاونت میں ملازمت یا سود دینا شامل نہیں ، یہ ان کی راۓ ہو سکتی ہے ، جس طرح دوسرے علما بھی اپنی اپنی راۓ زنی کرتے ہیں ، لیکن یہ کہنا کہ ، وہ قران میں تحریف یا کسی حرام کو حلال کر رہے ہیں ، سراسر غلط ہے ،


اسی طرح بعض علما بینک میں کرنٹ اکاونٹ رکھنے کو جائز سمجھتے ہیں ، اور بعض حرام کہتے ہیں ،
اب اس تعبیر کے اختلاف پر ایک دوسرے کو فتنہ ، کافر کہا جاۓ تو ، یہ غلط ہے






Lafzo k hair phair se koi faida nahi jab Isalm main SOOD haram hai tu haram hai,jo hadees main bhi wazeh hai.

aik martaba dobara Hadees parh lo. aur ye bhi wazeh kar do k aap bhi Hadees k MUNKIR tu nahi??

15901d1271618634-sood-haram-islam.jpeg

 
Last edited:

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Islam and Democracy ------ اسلام اور جمہوریت



اگر ان عزت مآب جنابہ محترمہ نے ، کسی کو درست سمت کی آگاہی دی ہے تو ، یہ اچھی بات تھی ، اگر کوئی اس غصے والے بھائی کو کہتا کہ ، آپ اپنی بیوی کو ایک رات کے لیے کسی مولوی یا کراۓ کے سانڈ کے حوالے کرو ، اور صبح طلاق حاصل کرو ، اس طرح وہ پھر سے حلال ہو جاۓ گی تو ، پھر آپ کو کوئی فتنہ ، آوارگی ، فحاشی ، بد چلنی اور قران سے کھلواڑ نظر نا آتا ،


aap ki is baat ka jawab yeh hai ke aik muslim ko kia yeh zaib deta hai ke woh kisi bhi maslay main ghamdi se rehnumai le jo Hadees , Daroor e Paak aur Hazrat eesa AS , parday ka munka hai

yeh to wohi baat ho gayi ke mujhe apne kapray silwanay ke liye Sheher main koi Darzi nahi milta to main kisi Kasai ko apne kapray de doon aur kahoon ke sheher main koi darzi maujood na tha to ab ki baar mere kapray Kasai bhai aap sii do
 

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Islam and Democracy ------ اسلام اور جمہوریت

[MENTION=25826]tariisb[/MENTION]

aap se kuch dair baad baat hogi , abhi kuch mehman aai hain
 

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Islam and Democracy ------ اسلام اور جمہوریت


کسی کو فتنہ کہہ دینا ، بہت آسان ہے ، اسی آسانی کے تحت ، ہر مسلک / فرقہ کے تحت ہر کوئی دوسرا گمراہ ،باطل اور فتنہ ہے

mujhe koi aik aisa Firqa yah maslak bata dain jo yeh keta ho ke Daroor e Paak ki koi haqeeqat nahi ?????????

koi bhi firqay ka aalim ya maslik ka aalim Hazrat eesa ki dobara aamad ka inkari nahi

Ghamdi apne Batil aur Kufri mazhab ko islam ka naam na de , ghamdi ke yeh kufriya aqaid Qadyanion ko zaroor bhallay lagte hongay lekin kisi musalman ko qabil e qabool nahi
 

Mojo-jojo

Minister (2k+ posts)
Re: Islam and Democracy ------ اسلام اور جمہوریت

برادران محترم
غامدی صاحب سے اختلاف ہوسکتا ہے لیکن میں نے جس موضوع کو اجاگر کرنے کیلئے یہ وڈیو لگائی تھی آپ لوگوں نے اس پر تو کوئی بات کی نہیں اور غامدی صاحب کو برا بھلا کہنا شروع کردیا

 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Islam and Democracy ------ اسلام اور جمہوریت

islami hakumat se mutalka chand aham baaten.

1)Islam insaanu ke liye hai.

2)islam nizaame hakumat hai.

3) islam ka manshoor, dastoor aur qanoon sirf aur sirf quran hai. is ki waja yeh hai keh duniya ka baadshah aur asal haakim sirf aur sirf Allah hai na ke koi insaan chahaye woh shakhs nabi hi kyun na ho. nabi is liye nahin bheja jaata keh woh logoon par apni hakumat qaaim kare balkeh is liye keh woh logoon ko khudayee nizaam de aur agar log us ko pasand karen aur us ke paas jama ho jaayen to woh un ke liye woh maashra mutakkil tor par saamne laaye jis ka us ne khudaa ki taraf se dawa kia tha. yeh is waja se ta keh us ke dawe par daleel qaaim ho jaaye. nabi bhi khudayee dastooro qanoon ka usi tarah paband hota hai jaise aur log, yani nabi khudayee qanoon se baala nahin hota.

4)insaanu ka kaam yeh hai keh woh khudaa ke bataaye huwe dastooro qanoon ko samjhe aur us par khudaa ke bataate huwe tareeqe se amal karen takeh un ko sahee insaan ban kar duniya main rehne ka pata chale aur yun insaan insaaniyat ko paa len aur janwarun ki tarah jeena chhor den. yahee waja hai islam main shakhsiyat parasti nahin hai. islam main islam ka manshoor, dastoor aur qanoon bunyaad hai log nahin. jo jitna khudaa ke qanoon se qareeb ho ga utna hi woh mutaqi aur parezgaar ho ga.

Agar ham 3/64,79, 9/30-35, 49/13 waghaira ko paden to yeh baaten saaf saaf bataa di gayee hai.

islam ki shariyat woh nahin hai jo molavyun ne apni taraf se ghad li hai bulkeh woh hai jo quran ke diye ge usoolun ke mutaabiq khud ummat ke sahibe ilm log banaate hen apne waqt ke taqaazun ko madde nazar rakhte hue.

yeh ikhtilaaf hi bunyaadi ikhtilaaf hai sir syed, farahi, iqbal, jinnah, parwez aur ummat ke mazhabi rehnamaon main.

isi liye sir syed ne un tamaam kharafaat ko rad kia jin ko molvi log mojizaat aur karamaat maante chale aa rehe the aur ummat ko bewaqoof banaa rehe the jis ki waja se ummat pasti main girti chali gayee. in main masla taqdeer bhi tha auir bahot si deegar mazhabi rasoomaat bhi.

jo qaom duaa ka matlab yeh samajhti hai ke woh khudaa ko kuchh kehe gi to khudaa woh kaam kar de ga, woh kabhi kisi baat main kamyaab nahin ho sakti. is liye keh khudaa ne aaj tak us qaom ki haalat nahin badli jis ko klhud is baat ka ehsaas nahin hua. jab kisi qaom ko apni haalat badalne ka ehsaas hota hai to woh chatayee nasheen nahin ho jaati balkeh kamarbasta ho kar apne maqaasid ke hasool ke liye un thak mehnat karti hai yahee lafze duaa ka asal matlab hai, yani khudaa ke qanoon par inhisaar karna keh har amal ka kuchh na kuchh nateeja hota hai.

islam aik taleem par mabni inqilaab hai. jo logoon ko us taleem par amal ki dawat deti hai ta ke woh kaam kiye jaayen jo woh nateeja peda karen jo qaom ko darkaar hai. bekaar log jab woh kaam nahin karte jo un ko karne ko kaha gayaa hai to un ki zindagiyan bekaar guzar jaati hen.

mullah ka phelaaya hua mazhab isi liye khtarnaak hai ummat ke liye keh yeh ummat ke afraad ki socho amal ki qawat hi ghalat taraf lagaa deta hai aur yun ghalat nataaij is ummat ka muqaddar ban jaate hen. yani jesa ham sochte hen aur karte hen waisa hi nateeja hamaare saamne aa jaata hai.

ham ko jan takleef pohnchati hai ham manten maante hen aur aise logoon ke paas madad ke liye jaaate hen jo ham ko wazeefun aur nazro niyaaz ke chakrun main daal dete hen. is liye ke khud un ko kayee masaail dar pesh hote hen magar un ke paas un ka koi hal nahin hota aur ham itne bewaqoof hote hen ke aise logoon ke paas apne masaail ka hal talaash karte hen. nateeja ummat roz baroz kuchh ziyada hi zaleel hoti jaa rahee hai.

ham is baat ko kab tasleem karen ge keh hamaare mazhabi peshwown ne ham ko khub uloo banaaya hua hai?

aakhir quran ne mazhabi peshwown ko apni tanqeed ka nishaana kis bunyaad par banaaya hai.isi liye ke woh logoon ko deen mazhab ki soorat main pesh karte the.

agar kisi ko roti ka masla darpesh hai to us ka hal chand ayaat pad kar kisi ko dam karne se to yeh hal nahin ho jaata. na quran ne is qisam ki gol mol taleem di hai keh masla kuchh ho aur us ka hal kuchh aur bataaya jaaye. quran to kehete hai pyaas lagi hai to paani piyo pyaas bhuj jaaye gi. woh yeh nahin kehta bhook lage to Allah Allah karo bhook khtam ho jaaye gi. aakhir log dimaagh istemaal kyun nahin karte. ham ki pyaas lagi hai aur paani hamaare saamne hai phir bhi ham kisi aur ke paas jaate hen keh woh ham ko bataaye ham apni pyaas kaise bhujayen.

yahee aqeedun ke nuqsanaat hen. aqeedun ka sab se bada nuqsaan yeh hai keh log bebunyaad baatun ki waja se aapas main ikhtilaaf peda kar lete hen aur isi ko mazahbi iklhtilaaf ya firqa parasti kegte hen. yeh hukmaraanu ki phelaaye hui baaten hen takeh log in ki waja se aapas main behso mubehse kar ke aur in ki waja se ladayee jhagde kar ke mutafaraq rehe aur yun in hukamraanu ka dao laga rehe. is ko hukmaraanu ki saahiri kehte hen. yani hukmaraanu ki chalaaki.

is bewaqoofi ki waja se ham log aamilun ke hathe chade hue hen keh ham log lafze SEHR ka mana hi nahin jaante. hukmaraan log paighambrun ko apne logoon ke saamne sahir isi lye kehte the keh woh apni chalaaki se un ki hakumatun par qabza karna chate hen warna agar yeh sach nabi hote to mojize dekhaate. yani logoon ko yeh padhaate the keh jo khudaa nabi ho woh aam aadmi thoda hi ho sakta hai woh to bade bade ajeeb kar sakta ho. is chalaaki se woh logoon ko paighamrun ka mukhaalif banaye rakhte the. asal baat yehee thi keh nabi mojize dekhaane nahin aate the logoon ko jahaalat se ilm ke zariye nilaane aate the.

isi liye mullah ki hamaaqat zahir hai keh woh aaj logoon ko tarah tarah ki karamaat ki kahaniyan sunaa sunaa kar gumrah karte hen. is liye keh aisi baaten qurani taleemaaat ke sara sar khilaaf hen. har moqa par khudaa ne ambiyaa se kaha ke in se haho ham sirf khudaa ka paighaam pohnchaane aayen hen koi ghair insaani qawwatun ka mazahira karne ke liye nahin bhejhe ge. agar seekhna hai to ham se ilm seekho jo tum ko faaida de ke is ki waja se tun pastiyun aur zilatun se nikal sakte ho.

isi liye to kitaaben di gayen ambiyaa ko na keh trick boxes.
 
Last edited:

paki-muslim

Minister (2k+ posts)
Re: Javed Ahmad ghamidi great answer

Is ghamdi fitna ney tu Sood denay ko halal keh diya hai.Itni gumrahi phelaney ki himmat tu aaj tak kisi bhi fitnay main nahi hoi jitni is fitnay ney ki hai.
 

paki-muslim

Minister (2k+ posts)
Re: Javed Ahmad ghamidi great answer

Ghamdi fitna k kuch akaid :

Fitna rejects :

1. Any form of Had (Prescribed Punishment),
2. Nazool Eesa Alahi Salam and his Life (like Qadiyanis)
3. Had for an Apostate (Murtad)
4. Claims the 7 recitations of quran to be wrong (he is a close ally and aide of Daniel Pipes and Robert Spencer)
5. Music and Dancing of all sorts is permissible
6. Jihad against oppression is the only jihad allowed
7. The Shahadat of a man and woman are equal
8. There is no concept of Purdah (Hijab / Veil) in Islam,
 
Last edited:

AsifAmeer

Siasat.pk - Blogger
Re: Javed Ahmad ghamidi great answer

Ghamidi did not even completed reading the whole question before he sternly responded. There was no "Let me explain", no ifs no buts.
 

paki-muslim

Minister (2k+ posts)
Re: Javed Ahmad ghamidi great answer

What about Qadri?

Tahir fruadiye ney ghair muslim country main sood ko halal kaha tha likin ghamdi fitney ney tu sab k liye SOOD ko halal keh diya.

tahir fraudia aur ghamdi fitna dono aik hi thaali k chatey bathey hain. dono k BOSS aik hi hain.
 
Last edited:

AsifAmeer

Siasat.pk - Blogger
Re: Javed Ahmad ghamidi great answer

U heard about Sood in this clip? yeah.. I thought so too.

What you are doing here is called redherring. When you know you cant argue the pimary argument, change the argument and bash the argument you injected.


Is ghamdi fitna ney tu Sood denay ko halal keh diya hai.Itni gumrahi phelaney ki himmat tu aaj tak kisi bhi fitnay main nahi hoi jitni is fitnay ney ki hai.
 

warraich001

MPA (400+ posts)
Re: Javed Ahmad ghamidi great answer

Is ghamdi fitna ney tu Sood denay ko halal keh diya hai.Itni gumrahi phelaney ki himmat tu aaj tak kisi bhi fitnay main nahi hoi jitni is fitnay ney ki hai.
jaoe apna kaam karo just stick to the topic..... Don't fill my thread with your ignorance
 

meetnavpk

Councller (250+ posts)
Re: Javed Ahmad ghamidi great answer

Aur tum paki-muslim fitna nay sab ko fitna aur kafir theranay ka theka liya hay, shame on people like you.
 

Azaad Alfaaz

Senator (1k+ posts)
Re: Javed Ahmad ghamidi great answer

I would ask you to bring your prove !! Point out any video or link of video in which he said these things !!
I always make decision on until i heard myself or seen it !!
till now what ever i saw or heard Qamdi he is very logical and reasonable
Peace TV scholars are my FAV among Dr bilal Philips ..
Keep in Mind are all human they can make mistake
NOT like PIR saab who are PERFECT in the eyes of MUREED !!! ;)

Ghamdi fitna k kuch akaid :

Fitna rejects :

1. Any form of Had (Prescribed Punishment),
2. Nazool Eesa Alahi Salam and his Life (like Qadiyanis)
3. Had for an Apostate (Murtad)
4. Claims the 7 recitations of quran to be wrong (he is a close ally and aide of Daniel Pipes and Robert Spencer)
5. Music and Dancing of all sorts is permissible
6. Jihad against oppression is the only jihad allowed
7. The Shahadat of a man and woman are equal
8. There is no concept of Purdah (Hijab / Veil) in Islam,
 

Back
Top