Re: Alcohol and Punishment - Javed Ahmed Ghamidi
watan dost said:
Haram aur Halal ki behas ho hi nahi rahi Yehan.
Ghamdi sab Sharab Nooshi per HAD ka Inkar kar raha hai.
Aur us sai agay Barh kar TAJWEEZ kar raha hai kai
"Musalmanoon ka NAJM e IJTAMAI es HAD ko Qayem rakhay
, Chahye tow Es mai TAGHAYUr o Tabadul kar lai"
Yeah aik FITNAY ka Darwaza Kholna chahta hai.
Fitna gar Fitna Pehlana chahta hai.
Thats THE POINT.;););)
Dear watandost baat yeh ho rahee hai keh had aur tazeer main farq kia hai. had woh jo quran se saabit ho aur tazer woh jo log yani ummay bashmoole ambiya apni zaroorat ke teht zaroori samjhen.
is liye aap baat ko samjhne ki koshish karo. khamkhwaa ke fatwun aur zoro zabardasti se aap apni gthalat baat ko sahee sabiot kar hi nahin sakte.
main aik arse se dekh raha hun keh jin logoon ne qurano hadith ko pada bhi hua hai woh bhi in baatun ko samajh nahin paaye. main ne isi liye itni lambi lambi post kar ke baatun ko samjhaane ki koshish ki hai.
main bekaar ki behsun main kabhi ujhaa hi nahin magar lagta hai logoon ne betuki baatun ko deen main zabardasti daakhil karni ki qasam khayee hui hai.
yun samajhna ke ap ke siwaa baaqi kisi ko deen koi taaluq hi nahin ghalat baat hai is liye ke sab log jo deen ki baat karte hen un ko agar apne andar se aisa mehsoos na ho to woh kis liye behsun main apna waqat zaaya karen ge? yahee waja hai main aap loggon ki bhi izzat kara hun aur mullah ki bhi kyun keh in sab loggon main deen ki muhabbat dekhta hun. mujhe agar ehtraaz hai to logoon ki nasamjhi par hai na ke un ke deeni muhabbat par.
mere nazdeeq har woh shakhs musalmaan hi hai jo khud ko musalmaan kehta aur quran ko aakhri khudaaee kitaab kehta hai aur sahibe kitaab ko bhi. baaqi aap log jitna jee chahayee koshish karen aap ghalat baat ko khabi bhi islam saabit nahin kar sakte kyunkeh aap ko us bat ke samjhne main ghalati lagi hai aur woh ghalti kyun lagi hai woh bhi aap ki baatun hi se saaf zahir hai.
is ki badi waja yeh hai keh aap yeh samjhte ho ke agar quran yaa hadith main koi baat hai to us par bila soche samjhe amal karna chahiye magar yeh qurano hadith ke maqsad ke khilaaf hai. quran chahta hai keh ham log us bazaabta tor par samjhen aur us ko batore formula istemal karen.
meri tafseel post main pehle hi mojood hen jin main yeh baaten main ne samjhayee hen. music halaal hai yaa haraam ki behsun main main ne samjhaaya tha keh daleel sirf hukam ke liye darkaar hai warna jis baat ka kuchh hukam nahin hai woh mubaah ke zamurre main aati hai. yahee waja hai quran jis baat ka taqaaza karta hai us ka hukam karta hai yani us kaam ko karne yaa na karne ko kehta hai. jahan aisa nahin hai wahan ummat ko khuli chhutti hai woh apne hisaab se yani apni zaroorat ke mutaabiq qurani hadood ka khayaal karte hue jo chahye qanoon banaye.
is main mujhe kahin bhi koi ghalati nazar nahi aati agar kisi ko aati hai to mujhe bhi samjhaaye warna is kisam ki bekaar behsun se parez kre. dr isaar sb marhoom ke lecture agar kisi ne halaalo haraam ke qawaaid ke mutaliq sune hen to un ko bhi yahee samajh ayee. sirsyed iqbal, parwez sab ko yahee samajh aayee. shia aur brellavi ulema bhi yahee sajhte hen agar kisi ko yeh baat samajh nahin aayee to woh wahabi hazraat hen jo khud ko salafi bhi kehlaate hen aur ehle hadith waghaira waghaira bhi. deobandi haraat bhi fiqh hanfi ko maanae ke bawjoob salafi tarah ka hi aqeedah rakhte hen isi liye un ko bhi aisi bekaar besun ke siwaa koi kaam nahin hai.
yahan main ne drust baat saaf saaf bata di hai is ke baad main nahin chahta log bila daleel baaten karen. is baat ko khoob achhi tarah jaan lena chahiye keh quran ke ilaawah kis baat ko had nahin keh sakte kyn ke hadood bataana Allah ka kaam tha na keh peghambar ka. peghamabar ka kaam un ko naafiz karna tha agar log us ka laaya hua peghaam maan qabool kar len. kisi bhi paghambar ko apni taraf se kisi baat ko had kehna ka koi haq nahin tha. albatta paghambar samait ummat ko haq tha ke woh khudayee hudood ke mutaabiq qanoon saazi karen apni zarooryaat ke ke liye.
Allah ham sab ko apni kitaab ko sahee tor par samjhne ke liye ilm se muhabbat aata faramaaye aur harame zehnu ko khole ta keh ham log us ki hidaayat se faaida haasil kar saken.