China’s Slacker Youths: Why They Went From 'Lying Flat' To 'Let It Rot'

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
duniya bhar ke log bored zindagiyan hi guzaar rahe hen kyunkeh un ki zindagiyun ka koi qaable qadar maqsad hi nahin hai. bemaqsad zindagiyan agar boringness peda nahin karen gi to aur kia karen gi? insaan aakhir insaan hi hen is liye un ko kabhi na kabhi ye khayaal aa hi jaata hai keh jo zindagi woh guzaar rahe hen aakhir isse haasil kia hai? ye sab is liye keh insaaniyat zindagi ke asal maqsad se door hai. door kyun hai? is liye keh is ko kitaabe khudaa wandi per is ke taqaaze ke mutaabiq ghoro fikar ka khayaal hi nahin hai.

jab tak insaaniyat kitaabe khudaa wandi ki drust samajh se door rahe gi is ko woh zindagi mil hi nahin sakti jo kitaab is ko bataati hai. lihaaza insaaniyat ki yahee haalat rahe gi jo hai. kitaab insaanu ko kia kehti hai? yahee keh kaainaat per ghoro fikar karo aur is ko musakhar karo aur yun woh maqsad poora karo jis maqsad ke liye khudaa ne ye kaainaat banayee hai aur is main insaanu ko peda kiya hai. woh maqsad kia hai? See HERE.